Har dam ho mera wird-e-madina hi madina, ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina
woh lamha woh din aur woh aa jaye mahina, phir kaash! tarapta huwa pahunchun main madina
tayba mein bula kar mujhe sultan-e-madina, deedar ki khatir ho ata aankh bhi beena
seena ho madina to madina bane seena, aur yaad teri dil mein rahe shah-e-madina
aajaye mujhe kaash! shehenshah-e-madina, rone ka tarapne ka phir aaye qareena
'isyan ke talatum mein phansa mera safeena, dooba main sambhalo! mujhe sarkar-e-madina
ae noor-e-khuda! noor bhari dil pe nazar ho, ho noor se pur tu ye be-noor nagina
sarkar! tamanna hai yunhi umar basar ho, marna teri ulfat mein teri yaad mein jeena
gamgeen tere gham mein rahoon kaash! hamesha, roti rahein aankhein to sulagta rahe seena
saqi! mujhe jaam-e-mohabbat ka pila do, utre na nasha is ka kabhi shah-e-madina
tum khaak-e-madina mere lashay pe chirakna, phir milna kafan par jo mile un ka paseena
attar talabgar hai bas nazar-e-karam ka, lillahi karam, jaan-e-karam, bahr-e-madina