Har ek gul mein hai rang un ka zaban-e-bulbul pe un ka naghma
Hai sab ki aankhon mein noor un ka woh sab ke dil mein muqeem bhi hain
Ata kiye hain laqab khuda ne hamare Aaqa ko kaise pyare
Ameen bhi hain makeen bhi hain azeez bhi hain azeem bhi hain
Main in ka banda woh mere maula woh mere maalik main in ka banda
Khuda ke fazl o karam se Aaqa hafeez bhi hain kareem bhi hain
Unhein ke sar par hai taj-e-izzat unhein ke baais hai saari khilqat
Na kyun hon maalik woh arsh-e-haq ke habeeb bhi hain kaleem bhi hain
Afu ho tum azeez ho tum wakeel ho tum kafeel ho tum
Tumhare bande hain hum agarche saqeem bhi hain asheem bhi hain
Jameel Razvi ko gham-e-azaab-e-aleem kyun ho
Madine wale hain us ke sar par madad pe Ghous-e-Azeem bhi hain