Har shay mein hai noor-e-rukh-e-taban-e-Muhammad
Har phool mein khushboo-e-gulistan-e-Muhammad
Allah ne mehboob ko be-misl banaya
Mumkin hi nahin ho koi ham-shaan-e-Muhammad
Makhlooq ko maloom ho kya un ki haqeeqat
Rab azzawajal jaanta hai shaan-e-Muhammad
Aasakta hai kab hum se ganwaron ko adab wo
Jaisa ke adab karte thay yaaran-e-Muhammad
Seena hai wahi jis mein Nabi ki ho mohabbat
Hai aankh wahi jo hai joyaan-e-Muhammad
Wo dil hi nahin jo na jukay su-e-Madina
Wo sar hi nahin jo na ho qurban-e-Muhammad
A'ada ki shaqawat ke huay aap ke munkir
Aur sang-o-shajar tabe'-e-farman-e-Muhammad