Hawa hai jalwa-numa woh nigaar aankhon mein
Keh aaj phool rahi hai bahaar aankhon mein
Naqab uth gaya kya kya roo-e-Maah-e-Taiba say
Keh shash-jahat say hai noor aashkar aankhon mein
Nazar mein aisa samaya hai Gulshan-e-Taiba
Khula huwa hai ajab lala-zaar aankhon mein
Urooj par ho hamara sitara-e-qismat
Banay tumhara agar reh-guzar aankhon mein
Tumharay aariz-e-pur-noor dekhnay kay liye
Hai jaan-e-zaar bohat be-qarar aankhon mein