Hawa jaata hai rukhsat maah-e-Ramzan Ya RasoolAllah, raha ab chand ghadiyon ka yeh mehmaan Ya RasoolAllah
Khushi ki lehar daudi har taraf Ramzan jab aaya, hain ab ranjeeda ranjeeda musalman Ya RasoolAllah
Musarrat hi musarrat aur khushi hi thi khushi jis dam, nazar aaya hilal-e-maah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Shaha! ab gham ke mare khoon ke aansu bahate hain, chala tadpa ke haye maah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Chala ab jald yeh Ramzan satayis aagayi tarikh, faqat do din ka ab Ramzan hai mehmaan Ya RasoolAllah
Fazayein noor barsayein hawayein muskurati thin, samaan ab ho gaya har samt veeran Ya RasoolAllah
Riyazat kuch na ki hum ne ibadat kuch na ki hum ne, rahe bas har ghadi mashghool-e-isyan Ya RasoolAllah
Main haye jee churata hi raha Rabb ki ibadat se, guzara ghaflaton mein sara Ramzan Ya RasoolAllah
Main sota reh gaya ghaflat ki chadar taan kar afsos, Khuda ra meri bakhshish ka ho samaan Ya RasoolAllah
Judai ki ghadi jaan soz hai usshaq-e-Ramzan par, chala in ko luta kar maah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Tarapte hain balkate hain qarar aata nahi un ko, bohat be-chain hain usshaq-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Gunahon ki siyahi chha rahi hai rukh pe mehshar mein, mera chehra pe Ramzan ho taban Ya RasoolAllah
Yeh Ramzan ki rukhsat jaan-e-ashiq par qayamat hai, gada tere hain hairan-o-pareshan Ya RasoolAllah
Khuda ke nek bande nekiyon mein lag gaye lekin, gunah karta raha Attar nadan Ya RasoolAllah