Ho mubarak ahl-e-imaan Eid-e-Milad-un-Nabi
Ho gayi qismat darakhshan Eid-e-Milad-un-Nabi
Khoob khush hain hoor o ghulman Eid-e-Milad-un-Nabi
Har malak masroor o shadan Eid-e-Milad-un-Nabi
Char su hain kya chamma cham rehmaton ki barishein
Jhoomte hain abr-e-baran Eid-e-Milad-un-Nabi
Noor ki phuhar barasi char su hai roshni
Hogaya ghar ghar chiraghan Eid-e-Milad-un-Nabi
Char janib dhoom hai Sarkar ke Milad ki
Jhoomta hai har musalman Eid-e-Milad-un-Nabi
Arsh par charon taraf sall-e-ala ki dhoom hai
Aagaye hain noor-e-Yazdan Eid-e-Milad-un-Nabi
Ghunchay chatke, phool mehke har taraf aayi bahar
Ho gayi subah-e-baharan Eid-e-Milad-un-Nabi
Jaante ho kyun hai roshan aasman par kehkashan
Hai kya Haq ne chiraghan Eid-e-Milad-un-Nabi
Ham na kyun roshan karein ghar ghar diye Milad ke
Khud kare Haq chiraghan Eid-e-Milad-un-Nabi
Eid-e-Milad-un-Nabi to Eid ki bhi Eid hai
Balyakeen hai Eid-e-Eidan Eid-e-Milad-un-Nabi
Eid-e-Milad-un-Nabi par jo bhi karta hai khushi
Us pe ghurata hai shaitan Eid-e-Milad-un-Nabi
Aamina ke ghar Muhammad (SAW) ki wiladat ho gayi
Khoob jhoomo ahl-e-imaan Eid-e-Milad-un-Nabi
Aao diwano! chalo sab Aamina ke ghar chalein
Noor se bhar layein daman Eid-e-Milad-un-Nabi
Khoob jhoomo aye gunahgaro! tumhari Eid hai
Ho gaya bakhshish ka saman Eid-e-Milad-un-Nabi
Gham ke maro! be-saharo! bas tumhari Eid hai
Ho gaya rahat ka saman Eid-e-Milad-un-Nabi
Be-qararo! dilfagaro! bas tumhari Eid hai
Kyun ho hairan o pareshan Eid-e-Milad-un-Nabi
Gham-naseebo! ab ghamon ka door andhera ho gaya
Tum manao khoob khushiyan Eid-e-Milad-un-Nabi
Khul uthe murjhaye dil aur jaan mein jaan aa gayi
Aagaye hain jaan-e-janaan Eid-e-Milad-un-Nabi
Be-kason ke din phire aur gham ke mare hans pade
Ho gaya khushiyon ka saman Eid-e-Milad-un-Nabi
InshaAllah aaj eidi mein milegi maghfirat
Hai jabhi shaitan pareshan Eid-e-Milad-un-Nabi
Ya Nabi! apni wiladat ki khushi mein gham
Deejiye Taiba ke Sultan Eid-e-Milad-un-Nabi
Eid-e-Milad-un-Nabi ka wasta Attar ko
Bakhsh de aye Rab-e-Rehman Eid-e-Milad-un-Nabi