Hubb-e-dunya se tu bacha Ya Rab
Ashiq-e-Mustafa bana Ya Rab
Kar de hajj ka sharaf ata Ya Rab
Sabz gumbad bhi dikha Ya Rab
Hai teri hi inayat-o-rehmat
Mujhko Makke bula liya Ya Rab
Aaj hai rubaru mere Kaaba
Silsila hai tawaf ka Ya Rab
Abar barsa de noor ka mein loon
Barish-e-noor mein naha Ya Rab
Kash lab par mere rahe jaari
Zikr aathon pahar tera Ya Rab
Chashm-e-tar aur qalb-e-muztar de
Apni ulfat ki maye pila Ya Rab
Aah! tughyaniyan gunahon ki
Paar naiya meri laga Ya Rab
Nafs-o-shaitan ho gaye ghalib
In ke chungal se tu chura Ya Rab
Kar ke tauba mein phir gunahon mein
Ho hi jata hoon mubtala Ya Rab
Neem jaan kar diya gunahon ne
Marz-e-isyan se de shifa Ya Rab