Huein ummeedein bar-awar Madina aane wala hai
Jhukalo ab adab se sar Madina aane wala hai
Pilade saqiya saghar Madina aane wala hai
Ata ab kaif-o-masti kar Madina aane wala hai
Ata ho mujh ko chashm-e-tar mujhe de do dil-e-muztar
Zara jaldi mere sarwar! Madina aane wala hai
Tadapne ka qareena do mujhe do chaak-e-seena do
Pae Shabbir aur Shabbar Madina aane wala hai
Mubarak ho gunahgaro! khata-karo! siyah-karo
Tumhein ab Aasiyo! kya darr Madina aane wala hai
Madine ke musafir par chhamachham rehmaton ki ab
Hai barish khoob zoron par Madina aane wala hai
Padho ae zairo! mil kar durood un par salam un par
Lutaao ashk ke gohar Madina aane wala hai
Theher ja rooh-e-muztar tu nikal jana Madine mein
Khudara ab na jaldi kar Madina aane wala hai
Durood-e-pak ke gajre salam-o-naat ke tohfe
Badho ae zairo! lekar Madina aane wala hai
Khushi se zairo! jhoomo fazaayein jhoom kar choomo
Bas aaya rauda-e-anwar Madina aane wala hai
Nikal ab paon se joota qareeb-e-Taiba tu pahuncha
Ae zaair! hosh ab tu kar Madina aane wala hai
Woh barsa noor ka jhaala samaan hai khoob ajiyala
Hai kaisa dil-kusha manzar Madina aane wala hai
Mubarak gham ke maaron ko mubarak be-saharon ko
Ghulay hain rehmaton ke dar Madina aane wala hai
Fazaayein bhi munawwar hain, hawaayein bhi muattar hain
Samaan rangeen-o-kaif-awar Madina aane wala hai
Meri ho aarzoo poori mujhe mil jaaye manzoori
Baqee-e-pak ki sarwar Madina aane wala hai
Waseela chaar yaaron ka Uhad ke jaan-nisaron ka
Dikha do ik jhalak sarwar Madina aane wala hai
Nikalo, Mustafa pyare! khayal-e-ghair ab saare
Hamare qalb se baahar Madina aane wala hai
Utho ta'zeem ki khatir padho takreem ki khatir
Salam ae zairo! mil kar Madina aane wala hai
Utho Attar ab utho! zara woh ghaur se dekho
Hai chhaya noor har shey par Madina aane wala hai