Hum ko Allah aur Nabi se pyaar hai
InshaAllah apna beda paar hai
Ummahatul Momineen o chaar yaar
Sab sahaba se hamein to pyaar hai
Ghaus o Khwaja Data aur Ahmed Raza
Se bhi aur har ik wali se pyaar hai
“Ya Rasoolallahi unzur halana”
Talib-e-nazr-e-karam badkar hai
“Ya Habiballahi isma’ qalana”
Iltija Ya Sayyidal Abrar hai
“Innani fi bahri hammin mughraqun”
Nao danwan dol dar-e-manjhdhar hai
“Khuz yadi sahhil lana ashqalana”
Nakhuda aao to beda paar hai
Ho adu gharat waseela us ka jo
Jaan-e-alam! tera yaar-e-ghar hai
Dushmanon ki jo uda de gardanein
Ya Umar! darkar woh talwar hai
Wasta Usman ka Aqa al-madad
Dushmanon ne mujh pe ki yalghar hai