Hum Pe Nazar-e-Karam Tajdar-e-Haram
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Hum pe nazar-e-karam, Tajdar-e-Haram, neik ban jayen hum, Tajdar-e-Haram
Dard-e-isyaan mite, aadat-e-bad chhutey, Shah-e-Arab-o-Ajam, Tajdar-e-Haram
Nafs-o-shaitan ka, aah! ghalba hua, yani ho karam, Tajdar-e-Haram
Yaksan hon madh-o-zamm, mujh ko, kar do karam, kuch khushi ho na gham, Tajdar-e-Haram
Bad-kalami na ho, yaawa-goi na ho, bolon mein kam se kam, Tajdar-e-Haram
Rakhon neechi nazrein, idhar ya udhar, kuch na dekhun karam, Tajdar-e-Haram
Ashk-baari karon, aah-o-zari karon, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ishq-e-Khallaq de, husn-e-akhlaq do, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Khoob mukhlis banon, mein riya se bachon, ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aafatein jayen tal, mushkilein bhi hon hal, kar do aisa karam, Tajdar-e-Haram
Hon durood-o-salam, Aaqa lab par mudam, har ghari dam badam, Tajdar-e-Haram
Bad-khasail talen, seedhay raste chalein, kar do Aaqa karam, Tajdar-e-Haram
Ho gaya gar azab, ae Risalat Maab, seh sakein ge na hum, Tajdar-e-Haram
Khuld ki do sanad, az tufail-e-Samad, Ya Shafee-e-Umam, Tajdar-e-Haram
Roz-e-Mahshar shaha! mujh gunahgar ka, aap rakhna bharam, Tajdar-e-Haram
Zahir-o-batin ek, Aaqa ho kar do neik, Ya Shafee-e-Umam, Tajdar-e-Haram
Apna deewana kar, mast-o-mastana kar, Shahryar-e-Iram, Tajdar-e-Haram
Ab Madine bula, sabz gumbad dikha, chomon khak-e-haram, Tajdar-e-Haram
Sabr-o-himmat mile, dil ko rahat mile, kar do aisa karam, Tajdar-e-Haram
Kash aaye woh pal, rote rote nikal, jaye qadmon mein dam, Tajdar-e-Haram
Kash! hota shaha, jism Attar ka, khak-e-Tayyaba mein dam, Tajdar-e-Haram