Ilahi dikha de jamal-e-madina, karam se ho poora sawal-e-madina
ata kijiye hazri ki sa'adat, inayat ho mujh ko wisal-e-madina
dikha de mujhe sabz gunbad ke jalwe, dikha mujh ko dasht-o-jabal-e-madina
pahunch kar madine mein ho jaye maula, mari jaan fidaye jamal-e-madina
mujhe 'chal madina' ka muzda sunado, karam ya shah-e-khush khisal-e-madina
hun pyare nabi! khatm-e-lamhat-e-furqat, muyassar ho mujh ko wisal-e-madina
gham-e-ishq-e-sarwar khadaya ata kar, mujhe az tufail-e-bilal-e-madina
khudaye muhammad hamare dilon se, na nikle kabhi khayal-e-madina
sada rehmaton ki barasti jhari hai, madine mein ye hai kamal-e-madina
mu'attar mu'attar hai sab se munawwar, nahin do jahan mein misal-e-madina
sabhi pa rahe hain usi dar se main bhi, hoon umeed-war-e-nawal-e-madina
qadam choom kar sar pe rakh lena attar, nazar aaye gar nau-nihal-e-madina