Izn mil jaye gar Madine ka
Kaam ban jaye ga kameenay ka
Ja ke un ko dikhaoon ga main to
Zakhm-e-dil aur daagh seenay ka
Qalb-e-ashiq utha dhadak ek dam
Zikr jab chhid gaya Madine ka
Aankh se ashk ho gaye jaari
Jab chala qafila Madine ka
Us ki qismat pe rashk aata hai
Jo musafir huwa Madine ka
Tujh pe Rehmat ho zaair-e-Tayyaba!
Ja, nigahban Khuda safeenay ka
Ham ko bhi bulayen ge ek din
Izn mil jaye ga Madine ka
Ho Gham-e-Mustafa ata Yarab!
Dard badhta rahe Madine ka
Naz'a mein, qabr mein, qayamat mein
Tum hi rakhna bharam kameenay ka
Door ranj-o-alam hon dunya ke
Ham ko mil jaye gham Madine ka
Lutf se hai tere bharam warna
Kaam koi nahin qareenay ka
Ek muddat se dil mein armaan hai
Yaani! Jaam-e-deed peenay ka
Maut gar aaye tere qadmon mein
Lutf aajaye phir to jeenay ka
Apne Attar par karam kar do
Sag bana lo usay Madine ka