Jaan balab hoon aa meri jaan Al-Ghiyath
Hote hain kuch aur saman Al-Ghiyath
Dard mandon ko dawa milti nahin
Ae dawa-e-dardmandan Al-Ghiyath
Jaan se jaate hain bechare ghareeb
Chara farmaye ghareeban Al-Ghiyath
Had se guzrein dard ki be-dardiyan
Dard se be-had hoon nalan Al-Ghiyath
Be-qarari chain leti hi nahin
Ae qarar-e-be-qararan Al-Ghiyath
Hasratein dil mein bohat be-chain hain
Ghar hua jata hai zindan Al-Ghiyath
Khak hai pamal meri go-bugu
Ae hawa-e-gooye janan Al-Ghiyath
Al-madad ae zulf-e-sarwar al-madad
Hon balaon mein parishan Al-Ghiyath
Dil ki uljhan door kar gesu-e-pak
Ae karam ke sumbulan Al-Ghiyath
Ae sar-e-purnoor ae rahbar-e-khuda
Hon sarasima parishan Al-Ghiyath
Ghamzadon ki sham hai tareek raat
Ae jabeen ae mah-e-taban Al-Ghiyath
Abro-e-shah kaat de zanjeer-e-gham
Tere sadqe tere qurbaan Al-Ghiyath
Dil ke har pehlu mein gham ki phans hai
Main fida mizgan-e-janan Al-Ghiyath
Chashm-e-rehmat aa gaya aankhon mein dam
Dekh haal-e-khasta halan Al-Ghiyath
Murdan-e-ae mehr-e-noor-e-zaat-e-bakht
Hain siyah bakhti ke saman Al-Ghiyath
Teer-e-gham ke dil mein chhed kar reh gaye
Ae nigah-e-mehr-e-janan Al-Ghiyath
Ae karam ki kaan ae gosh-e-huzoor
Sun le faryad-e-ghareeban Al-Ghiyath
Aariz-e-rangeen khizan ko door kar
Ae jinan-ara gulistan Al-Ghiyath
Beeni purnoor haal-e-mah-e-beh hain
Naak mein dam hai meri jaan Al-Ghiyath
Jaan balab hoon jaan balab par reham kar
Ae lab ae Isa-e-duran Al-Ghiyath
Ae tabassum ghuncha-e-dil ki jaan
Khel chalein murjhayi kaliyan Al-Ghiyath
Ae dahan ae chashma-e-aab-e-hayat
Mar mitay de aab-e-haiwan Al-Ghiyath
Dur-e-maqsad ke liye hoon gharq-e-gham
Gauhar-e-shadab dandan Al-Ghiyath
Ae amamah du-e gardish door kar
Gard phir phir hoon qurban al-ghiyas
Neeche neeche damanon wali aba
Khwar hai khak-e-ghareeban al-ghiyas
Pad gayi sham-e-alam mere gale
Jalwa-e-subh-e-gareeban al-ghiyas
Khol mushkil ki girah band-e-qaba
Band-e-gham mein hoon pareshan al-ghiyas
Aasteen naqd-e-ata dar aasteen
Be-nawa hain ashk rezan al-ghiyas
Chaak ae chaak-e-jigar ke bakhiya gar
Dil hai gham se chaak janan al-ghiyas
Aib khulte hain gada ke roz-e-hashr
Daman-e-sultan-e-khooban al-ghiyas
Door-e-daman door dora hai tera
Door kar doori ka doran al-ghiyas
Hoon fusurda khatir ae gulgoon qaba
Dil khula dein teri kaliyan al-ghiyas
Dil hai tukde tukde paiwand-e-libas
Ae panah-e-khasta halan al-ghiyas
Hai phate halon mera rakht-e-amal
Ae libas-e-pak-e-jan al-ghiyas
Nal-e-shah izzat hai meri tere hath
Ae waqar-e-taj-e-shahan al-ghiyas
Ae sharak nal-e-pak-e-mustafa
Zer-e-neshtar hai rag-e-jan al-ghiyas
Shana-e-shah dil hai gham se chaak chaak
Ae anees-e-seena chakan al-ghiyas
Surma ae chashm-o-chiragh-e-koh-e-toor
Hai siyah sham-e-ghareeban al-ghiyas
Toota hai dum mein dora saans ka
Resha-e-miswak-e-janan al-ghiyas
Aaina ae manzil-e-anwar-e-quds
Teera bakhti se hoon hairan al-ghiyas
Sakht dushman hai husn ki taak mein
Al-madad mehboob-e-yazdan al-ghiyas
Khamida sar giraftar-e-qaza hai
Kashida khanjar-e-jallad ya Ghaus
Andheri raat jungle mein akela
Madad ka waqt hai faryad ya Ghaus
Khila do ghuncha-e-khatir ke tum ho
Bahar-e-gulshan-e-ijad ya Ghaus
Mere gham ki kahani aap sun lein
Kahoon main kis se yeh roodad ya Ghaus
Rahoon azad qaid-e-ishq kab tak
Karo us qaid se azad ya Ghaus
Karo ge kab tak acha mujh bure ko
Mere haq mein hai kya irshad ya Ghaus
Gham-e-dunya gham-e-qabr o gham-e-hashr
Khudara kar de mujh ko shad ya Ghaus
Hassan mangta hai dede bhek data
Rahe yeh raaj paat abad ya Ghaus