Jaankani ka waqt hai ya Mustafa jaan balab ab talib-e-deedar hai
Aap ke qadmo mein gir kar maut ki arzoo ya Sayyid-e-Abrar hai
Maghfirat farma tufail-e-murshidi yeh dua tujh se mere Ghaffar hai
Bulbul-o! tum ko mubarak phool ho bas gaya Taiba ka dil mein khaar hai
Kya karun mein dekh kar rang-e-chaman dasht-e-Taiba se mujhe to pyar hai
Sabz gumbad ki ziyaein marhaba marhaba pur-noor har minar hai
Jagmagata hai Madina raat din sabz gumbad manba-e-anwar hai
Jis ki turbat hai Baqi-e-pak mein us ko hasil qurbat-e-Sarkar hai
Mustafa is roz aaye is liye Eid-e-Miladunnabi se pyar hai
Marhaba! Aqa ki aamad marhaba! ham ko is naare se be-had pyar hai
Jo koi gustakh hai Sarkar ka wo hamesha ke liye fin-nar hai
Dushmano ka tang ghera ho gaya raham ki darkhwast ab Sarkar hai
Aah! dushman ka pyasa huwa ya Nabi! teri madad darkar hai
Hasido ko de hidayat ya Khuda us ka sadqa jo mera ghamkhwar hai
Ghaus ke daman mein Attar aa gaya do jahan mein is ka bera par hai