Jab hashr mein koi bhi karega na sifarish
Ghabraye hue aayenge sab su-e-Muhammad
Sab muntazir-e-rehmat-e-Mabood hain lekin
Hai dawwar-e-mehshar ki nazar su-e-Muhammad
Un par na parein kis liye aalam ki nigahain
Hai dawwar-e-mehshar ki nazar su-e-Muhammad
Barsay gi shafa'at ki bharran ummat-e-shah par
Jis waqt khulay hashr mein gaisoo-e-Muhammad
Marjaun Madinay ke biyaban mein Ilahi
Ho na'sh meri aur sag-e-koo-e-Muhammad
Tareeki-e-marqad se jo ghabraye dil-e-zaar
Purnoor banaye isay gaisoo-e-Muhammad
Jannat to manaye gi chalo meri taraf ko
Aur main ye kahun ga ke nahin su-e-Muhammad
Tab jaan mein jaan aaye Jamil-e-Razvi ke
Sag-e-apna banayein jo sag-e-koo-e-Muhammad