Jin ka laqab hai Mustafa Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Un se hamein mila Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Rooh-ul-Amin to thak gaye aur wo Arsh tak gaye
Arsh-e-Bareen pukar utha Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Khuld-e-Bareen mein har jagah naam-e-Shah-e-Anam hai
Khuld hai mulk aap ka Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Dhoom hai un ki char su zikr hai un ka ko-ba-ko
Mazhar-e-Zaat-e-Kibriya Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Jo ho mareez-e-la-dawa ya kisi gham mein mubtala
Subah-o-Masa parhe sada Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Mushkilein un ki hal huin qismatein un ki khul gayin
Ward jinhon ne kar liya Salli Ala Muhammad
Shiddat-e-jaan kani ho jab ho kashmakash
Ward-e-zaban ho Ya Khuda Salli Ala Muhammad
Qabr mein jab farishtay ayin shakl-e-Khuda numa dikhayin
Parhta uthoon mein Ya Khuda Salli Ala Muhammad
Laaj gunahgar ki aap ke haath mein hai Nabi
Bad hai magar hai aap ka Salli Ala Muhammad
Hashr mein Salik-e-Hazin thaam ke daman-e-Nabi
Arz kare yeh bar-mala Salli Ala Muhammad