Jitna mere Khuda ko hai mera Nabi Aziz
Konain mein kisi ko na hoga koi Aziz
Khak-e-Madina par mujhe Allah maut de
Woh murda dil hai jis ko na ho zindagi Aziz
Kyun jayen hum kahein ke ghani tum ne kar diya
Ab to yeh ghar pasand yeh dar yeh gali Aziz
Jo kuch teri raza hai Khuda ki wahi khushi
Jo kuch teri khushi hai Khuda ko wahi Aziz
Go hum namak haram nikle ghulam hain
Qurban phir bhi rakhti hai rehmat teri Aziz
Shan-e-karam ko achay buray se garaz nahin
Is ko sabhi pasand hain is ko sabhi Aziz
Mangta ka hath utha to Madina hi ki taraf
Tera hi dar pasand teri hi gali Aziz
Is dar ki khak par mujhe marna pasand hai
Takht-e-shahi pe kis ko nahin zindagi Aziz
Konain de diye hain tere ikhtiyar mein
Allah ko bhi kitni hai khatir teri Aziz
Mahshar mein do jahan ko Khuda ki khushi ki chah
Mere huzoor ki hai Khuda ko khushi Aziz
Quran kha raha hai isi khak ki qasam
Hum kaun hain Khuda ko hai teri gali Aziz
Taiba ki khak ho ke hayat-e-abad mile
Ae jaan balab tujhe hai agar zindagi Aziz
Sang-e-sitam ke baad dua-e-falah ki
Banday to banday hain tumhein hain mud'ai Aziz
Dil se zara yeh keh de ke un ka ghulam hoon
Har dushman-e-Khuda ho Khuda ko abhi Aziz
Taiba ke hotay khuld-e-bareen kya karoon Hasan
Mujh ko yahi pasand hai mujh ko yahi Aziz
Ilahi de mere dil ko gham-e-ishq
Nishat-e-dahar se ho jaun nakhush
Nahi jatin kabhi dasht-e-nabi se
Kuch aisi hai baharon ki fiza khush
Madine ki agar sarhad nazar aaye
Dil-e-nashad ho be-inteha khush
Na le aaram dam bhar be-gham-e-ishq
Dil-e-muztar mein khush mera khuda khush
Na tha mumkin ke aisi ma'siyat par
Gunahgaron se ho jata khuda khush
Tumhari roti aankhon ne hansaya
Tumhare ghamzada dil ne kiya khush
Ilahi dhoop ho un ki gali ki
Mere sar ko nahi zill-e-huma khush
Hasan naat-o-chunin shirin bayani
Tu khush bashi ke kardi waqt-e-ma khush