Jo ho sar ko rasai un ke dar tak
To pahunche taj-e-izzat apne sar tak
Woh jab tashreef laye ghar se dar tak
Bhikari ka bhara hai dar se ghar tak
Duhai nakhuda-e-be-kason ki
Ke sailab-e-alam pahuncha kamar tak
Ilahi dil ko de woh soz-e-ulfat
Phanke seena jalan pahunche jigar tak
Na ho jab tak tumhara naam shamil
Duayen ja nahi sakti asar tak
Guzar ki rah nikli reh-guzar mein
Abhi pahunche na the hum un ke dar tak
Khudayon un ki ulfat mein gumade
Na paun phir kabhi apni khabar tak
Bajaye chashm-e-khud uth ta na ho aao
Jamal-e-yaar se teri nazar tak
Teri nemat ke bhooke ahl-e-daulat
Teri rehmat ka pyasa abr tak
Na hoga do qadam ka fasla bhi
Allahabad se Ahmednagar tak
Tumhare husn ke baare ke sadqe
Namak khwar-e-malahat hai qamar tak
Shab-e-meraj the jalwe pe jalwe
Shabistan-e-duna se un ke ghar tak
Bala-e-jaan hai ab virani-e-dil
Chale aao kabhi is ujde ghar tak
Na khol aankhen nigah-e-shauq-e-naqis
Bohat parde hain husn-e-jalwa-gar tak
Jahannam mein dhakelen Najdiyon ko
Hasan jhooton ko yun pahunchayen ghar tak
Dil-kashi husn-e-jaanan ka ho kya alam bayan
Dil fidaye aayina aayina qurban-e-jamal
Paish-e-Yousuf hath kaate hain zanaan-e-Misr ne
Teri khatir sar kata baithe fidayan-e-jamal
Tere zarre par shab-e-gham ki jafayein ta-ba-ke
Noor ka tadka dikha aye mehr-e-taban jamal
Itni muddat tak ho deed-e-mus-haf-e-aariz naseeb
Hifz karlun nazira parh parh ke Quran-e-jamal
Ya khuda dil ki gali se kaun guzra hai aaj
Zarra zarra se hai tale-e-mehr-e-taban jamal
Un ke dar par is qadar bat-ta hai barah noor ka
Jholiyan bhar bhar ke late hain gadayan-e-jamal
Noor ki barish husn par ho tere deedar se
Dil se dhul jaye ilahi daagh-e-harman-e-jamal