Jo kasa-e-taj kale tumhare dar par aaye
To badshah-e-haqiqat mein tajwar ho jaye
Tere gadaon ki paposh-e-taj-e-sultan hai
Woh jis ke sar pe rakhein na'al tajwar ho jaye
Jo aap hon mere palle pe phir mujhe kya dar
Jidhar nigah-e-karam ho Khuda idhar ho jaye
Jo khwab mein kabhi tashreef layein jaan-e-qamar
To un ke noor se mamoor sara ghar ho jaye
Khuda ne qalb-e-haqiqat tumhare hath kiya
Jo shakh-e-larne ko do tegh aur tabar ho jaye
Jo waqt-e-wazn-e-garan palla ho gunahon ka
Shafa'at aap ki us dam meri sipar ho jaye
Andheri shab mein karam se tumhare aye sarwar
Asa-e-sahaba ka fanoos rahbar ho jaye
Khuda ne ghaib tumhare liye huzoor kiya
Jo raaz-e-dil mein chhupe hon tumhein khabar ho jaye
Woh aaein teergi ho door mere ghar bhar ki
Shab-e-firaq ki ya Rab kabhi sahar ho jaye
Hijab uthein jo marqad se unke roze tak
Andhera qabr ka mit jaye dopahar ho jaye
Tere habib ke dushman hain aur khud tere
Har ek un mein ka fi-n-nari wa-s-saqar ho jaye
Kinar-e-atifat-e-hawiyah mein ek ek jaye
Jo maa ki god mein baithe to khush-pesar ho jaye
Sarapa aag ke dariya mein doob jaaein ye
Agar hameem ka dariya kamar kamar ho jaye
Chamak uthe meri qismat ka tara ae noor-e-aa
Agar woh ghairat-e-khursheed mere ghar ho jaye