Jo seene ko Madina un ki yaadon se banate hain
Uhi to zindagani ka haqeeqi lutf uthate hain
Jo apni zindagi mein sunnatein un ki sajate hain
Inhein pyara Muhammad Mustafa apna banate hain
Gham-e-Sarwar mein rone ka qareena ya Ilahi de
Mujhe afsos be-ja gham zamaane ke rulate hain
Jo deedaar-e-Muhammad ki tadap rakhte hain seene mein
Nabi-e-Pak un ko khwab mein jalwa dikhate hain
Zamaana jis ko thukrade, har ik dhutkar de aise
Nikammay se nikammay ko bhi seene se lagate hain
Fida main kyon na ho jaun, Nabi ki shaan-e-rehmat par
Woh badh kar thaam lete hain qadam jab ladkhadate hain
Jab un ke saamne Laal-e-Aamna muskurata hai
Gham-o-aalaam ke maare gham bhool jaate hain
Bi-izn-e-Allah saari ne'maton ke hain wahi Qasim
Hamein Aaqa khilate hain hamein Aaqa pilate hain
Madina
Ae Sarkar-e-Madina, rahat-e-qalb-o-seena SALLALLAHU TA'ALA ALAYHI WA AALIHI WASALLAM ka farman-e-aali shaan hai:
"Innama ana Qasimun wallahu yu'ti" ya'ni Allah AZZAWAJALL ata karta hai aur main taqseem karta hoon (Sahih Bukhari j 1 s 43 hadith 71) is hadith-e-pak ke tehat Hazrat-e-Sayyiduna Mufti Ahmad Yar Khan alayhi rehmatul Hannan farmate hain ke deen-o-duniya ki saari ne'matein ilm, imaan, maal, aulaad waghera deta Allah hai baante Huzoor hain jise jo mila Huzoor ke hathon mila kyonke yahan na Allah ki deen mein koi qaid hai na Huzoor ki taqseem mein. (Mirat-ul-Manajeeh j 1 s 187)
Aala Hazrat rehmatullahi ta'ala alayh farmate hain:
Rab hai Mu'ti yeh hain Qasim rizq us ka khate yeh hain
(Hada'iq-e-Bakhshish)
Madine ki tamanna mein jiye jaate hain deewane
Ke jaane kab hamein Aaqa Madine mein bulate hain
Hasad ki aag mein jal bhun ke Shaitan khaak udata hai
Tera jashn-e-wiladat dhoom se jab hum manate hain
Khuda-o-Mustafa naraz hote hain suno un se
Jo daadhi ko mundate hain ya mutthi se ghatate hain
Ghulam-o, mat daro Mehshar ki garmi se chale aao
Woh Kausar ke pyale bhar ke pyason ko pilate hain
Nazare un ke aage hech hote hain gulistan ke
Jo Sehra-e-Madina ke manazir dekh aate hain
Nahi hain nekiyan palle magar ghabra na ae Attar
Khata-karon ko bhi woh apne seene se lagate hain