Darbar-e-Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ke shayar Hazrat Sayyiduna Hassan bin Thabit Radi Allahu Ta'ala Anhu arz karte hain: Ae mere Aaqa!
Kaash aisa hota ke main aap se pehle Baqi-ul-Gharqad mein dafn ho jata kaash!
Main aaj ke din ke liye paida hi na hua hota, Khuda ki qasam! Jab tak main zinda rahunga apne mehboob Aaqa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ke liye rota aur tarapta rahunga.