Kaash! Phir mujhe hajj ka, izn mil gaya hota
Aur rote rote mein, kaash! chal pada hota
Haye! Phooti qismat ne, hazri se roka hai
Kaash! Main madine mein, phir pahunch gaya hota
Is safar ki taiyari, kar chuka tha main saari
Kaash! Meri qismat ne, saath dediya hota
Mere qalb-e-muztar ko bhi qaraar aa jata
Hajj ka mujhda koi kaash! aa ke de gaya hota
Mujh ko chhod kar tanha qafila chala taiba
Kaash! Saath mein le kar mujh ko bhi gaya hota
Kaash! In ki raahon ko phool aur kaanton ko
Choomta gaya hota jhoomta gaya hota
Misl-e-saal-e-rafta phir kaash! chashm-e-tar le kar
Sabz sabz gumbad ke rubaru khada hota
Mujh ko phir madine mein is baras bhi bulwate
Aap ka bada ahsaan mujh pe ye shaha hota
Zeer-e-gumbad-e-khazra ashkbar aankhon ne
Kaash! Meri furqat ka daagh dho diya hota
Kaash! Gumbad-e-khazra ke haseen jalwon mein
Mera rote rote hi dam nikal gaya hota
Dam nikal gaya hota mera un ke qadmon mein
Saath gar muqaddar ne mera de diya hota
Jin dinon madine mein hazri hui thi kaash!
Mar ke un ke kooche mein dafn ho gaya hota
Kaash! Aisa ho jata gore gore qadmon mein
Gir kar aap ka Attar aap par fida hota