Adna goye sar-e-tur se puchay koi
Kis tarah ghash mein girata hai tajalli tera
Paar utarta hai koi gharq koi hota hai
Kahin payab kahin josh mein darya tera
Baagh mein phool hua shama bana mehfil mein
Josh-e-nairang dar-e-aghosh hai jalwa tera
Naye andaz ki khalwat hai yeh aye parda nasheen
Aankhein mushtaq rahein dil mein ho jalwa tera
Shah nasheen tootay huay dil ko banaya us ne
Aah aye deedah-e-mushtaq yeh likha tera
Saat pardon mein nazar aur nazar mein aalam
Kuch samajh mein nahi aata yeh mu'amma tera
Tur ka dher hua ghash mein paray hain Musa
Kyun na ho yaar keh jalwa hai yeh jalwa tera
Chaar-e-azdad ki kis tarah girah bandhi hai
Nakhun-e-aql se khulta nahi uqdah tera