Karam ho jaan ko hai sakht khatra ya Rasool Allah
Na pis jaaye kahin naacheez zarra ya Rasool Allah
Bulaoon kis tarah main apni gutya mein tumhein Sarwar
Ke is qabil nahin hai mera hujra ya Rasool Allah
Agar chashm-e-karam ho to talatum khez maujon se
Abhi ho paar mera dooba bhanwra ya Rasool Allah
Main is duniya-e-fani mein bhi qabr-o-hashr-o-jannat mein
Har ek ja par lagaunga ye na'ra ya Rasool Allah
Yaqeenan jis ke aage chaudhween ka chand sharmaye
Tumhara hai wo chehra nikhra nikhra ya Rasool Allah
Karam se tum bulate ho karam hi se tum aate ho
Tumhare hi karam se bakht sanwra ya Rasool Allah