Kaun aisa hai jise Khair-e-Wara ne na diya
Koi aisa bhi hai kya jis ko Khuda ne na diya
Aap ke deen ka munkir hai bada nashukra
Koi kafir hi kahe ga ke Khuda ne na diya
Jis ko tum ne diya Allah ne us ko bakhsha
Jis ko tum ne na diya us ko Khuda ne na diya
Aap ke Rab ne diya aap ko Fazl-e-Kulli
Woh diya tum ko jo auron ko Khuda ne na diya
Woh fazail tumhein bakhshe hain Khuda ne jin ka
Aap ke ghair mein imkaan bhi aane na diya
Misal-e-mumkin hi nahi hai tera ae lasani
Weham ne bhi to tera misal samane na diya
Aap ke jor ka aaye to kahan se aaye
Jab wujood us ko Shah-e-Arz-o-Sama ne na diya
Adam-o-Nooh Ibrahim Kaleem-o-Isa
Un ko sab ko mila kya Rabb-e-'Ala ne na diya
Ba-wujood is ke tumhein jo mila un ko na mila
Aap ka rutba kisi ko bhi Khuda ne na diya
Sab matalib mere bar aaye karam se un ke
Koi matlab bhi mere dil ka barane na diya
Kaisi pur-noor hai jannat ki faza ae Noori
Phir bhi Taiba ka maza us ki faza ne na diya
Duniya ki mohabbat
Duniya ki mohabbat har burayi ki jar hai aur kinara kashi har khair-o-barkat ki bunyad hai. (Mukashifat-ul-Quloob Mutarjim, s 85, Maktabatul Madina)