Khoob bhejon ke deewano! Adab se jhoom kar
Tum Madine ke haseen gulzar par lakhon salam
Qabr mein lehraenge jis waqt jalwa-e-noor ke
Hum parhenge ro-e-pur-anwar par lakhon salam
Ae Madine ke musafir! Le ke ja mera payam
Bhejna ro ro ke tu sarkar par lakhon salam
Ya Nabi! Jitne bhi deewane yahan majood hain
Kaash! Sab aakar parhein darbar par lakhon salam
Mere pyare peer-o-murshid Sayyidi Ghaus-ul-Wara
Awliya-e-Allah ke sardar par lakhon salam
Jo gaya Ajmer mein dil ki muradein pa gaya
Mere Khwaja ke sakhi darbar par lakhon salam
Sayyidi Ahmad Raza ne khoob likha hai kalam
Un ke sare na'tiya ashaar par lakhon salam
Ho chuke honge jahan mein jis qadr bhi awliya
Un pe, har-ek un ke khidmatgar par lakhon salam
Maghfirat kar ae Khuda Attar bad-atwar ki
Bhej ya-Rab ummat-e-sarkar par lakhon salam
Meethe murshid ne Baqi-e-Pak mein paya mazar
Sare bhejo murshid-e-Attar par lakhon salam