Khuda ke fazl se hum par hai saya Ghous-e-Azam ka
Hamein donon jahan mein hai sahara Ghous-e-Azam ka
Baliyat-o-gham-o-afkar kyon kar gher sakte hain
Saron par naam leewon ke hai panja Ghous-e-Azam ka
Muridi la takhaf keh kar tasalli di ghulamon ko
Qayamat tak rahe be-khauf banda Ghous-e-Azam ka
Jo apne ko kahe mera mureedon mein woh dakhil hai
Yeh farmaya hua hai mere Aqa Ghous-e-Azam ka
Sijill un ko diya woh Rab ne jis mein saaf likha hai
Ke jaye khuld mein har naam leewa Ghous-e-Azam ka
Hamari laaj kis ke haath hai Baghdad wale ke
Musibat taal dena kaam kis ka Ghous-e-Azam ka
Jahaz-e-tajiran gardab se fauran nikal aaya
Wazifa jab unhon ne parh liya Ya Ghous-e-Azam ka