Khuda ke pyare nabi hamare rauf bhi hain raheem bhi hain
Shafee bhi hain rasool bhi hain muta bhi hain qaseem bhi hain
Uthate takleefen kafiron se dua hidayat ki un ki karte
Tamaam ausaf mein hain yakta shakoor bhi hain haleem bhi hain
Yeh la-dawa hai marz hamara tabeeb kyun karenge chara
Ilaaj mera karenge Aaqa tabeeb-e-dil hain hakeem bhi hain
Nahi hai kuch arz ki zaroorat ke un pe roshan hai sab ki halat
Rasool-e-Akram samee bhi hain baseer bhi hain aleem bhi hain
Unhein ke dar ke hain hum bhikari unhein ki yeh na'maten hain sari
Unhein ke hain sulsabeel o kausar unhein ke qasr-e-na'eem bhi hain
Woh arsh ke tajdar maula sifat hai Yaseen suna hai Taha
Ghani o mo'ti hai naam un ka Arab ke dur-e-yateem bhi hain