Khuda ne jis ke sar par taaj rakha apni rehmat ka
Darood uss pe ho woh hakim bana mulk-e-risalat ka
Woh mahi-e-kufr-o-zulmat shirk-o-bid'aat-o-zalalat ka
Woh haafiz apni millat ka woh naasir apni ummat ka
Madaawa kaisay farmaye koi bimar-e-furqat ka
Ke deedar-e-Nabi marham hai iss dil ki jarahat ka
Asar kya ho sakay ga mehr-e-mahshar ki hararat ka
Hamaray sar pe hoga shamiyana un ki rehmat ka
Kabhi deedar-e-Haq hoga kabhi nazara Hazrat ka
Hamein hungama-e-eidein hoga din qayamat ka
Na kyun ho aashkara tera jalwa zarra zarra mein
Shehenshah-e-Madina tu hai partau noor-e-wahdat ka
Dam-e-aakhir sar-e-baalein kharam-e-naaz farmao
Khudara haal dekho mubtala-e-dard-e-furqat ka