Khwab mein bhi aisa andhera kabhi dekha na tha
Jaisa andhera hamari qabr mein Sarkar hai
Ya Rasool Allah! aakar qabr roshan kijiye
Zaat beshak aap ki to manba-e-anwaar hai
Qabr mein Shah-e-Madina aa chuke Munkar-Nakeer
Ho karam! lillah banda bekas-o-nachar hai
Ya Nabi! jannat ki khidki qabr mein khulwaiye
Phir to fazl-e-Rab se apni qabr bhi gulzar hai
Tu ne duniya mein bhi aibon ko chupaya ya Khuda
Hashr mein bhi laaj rakh lena ke Tu Sattar hai
Nekiyan palle nahi Aqa shafa'at kijiye
Aap ki nazar-e-karam hogi to beda paar hai
Ya Nabi! Attar ko jannat mein de apna jwar
Wasita Siddiq ka jo tera yaar-e-ghaar hai
Kaash! ho aisi Madine mein kabhi haziri
Yeh khabar aaye watan mein mar gaya Attar hai