Kis munh se kahoon rashk-e-anaadil hoon main
Sha'ir hoon faseeh-e-be-mumaasil hoon main
Haqqan koi san'at nahi aati mujh ko
Haan yeh hai ke nuqsaan mein kaamil hoon main
Digar
Tosha mein gham-o-ashk ka saamaan bas hai
Afghaan-e-dil-e-zaar-e-hadi khwaan bas hai
Rehbar ki rah-e-na't mein gar haajat ho
Naqsh-e-qadam-e-Hazrat-e-Hassaan bas hai
Digar
Har ja hai bulandi-e-falak ka mazkoor
Shayad abhi dekhe nahi Taiba ke qasoor
Insaan ko insaaf ka bhi paas rahe
Go door ke dhol hain suhaane mashhoor