Kya sabz sabz gumbad ka khoob hai nazara
Hai kis qadar suhana kaisa hai pyara pyara
Anwar-e-yaan chhama chham barsayein aathon yaaham
Pur-noor sabz gumbad pur-noor har minara
Paish-e-nazar ho har dam bas sabz gumbad
Dil mein basa rahe bas jalwa sada tumhara
Saaye mein sabz gumbad ke tor-ne bhi do dam
Chara garo! Khudara koi karo na chara
Ghaus-ul-Wara ka sadqa aisa de apna gham bas
Rotay huye hi guzray Sarkar! Waqt sara
Seena bane Madina dil mein base Madina
Yaadon mein apni rakhe gum Ya Nabi! Khudara
Mat chhoriye mujhe ab duniya ki thokaron par
Bas aap hi ke tukron par ho mera guzara
Sarkar! hub-e-duniya dil se mere nikalo
Deewana ab banalo! apna mujhe khudara
Tarpa karoon suda mein aye kaash! tere gham mein
Haye! mujhe zamane ke ranj-o-gham ne mara
Girya gunahi hoon ya Rab! shauq-e-Madina mein jo
Taiba ka kaash! woh bhi kar lein gumhi nazara
Ranj-o-alam ke badal sare hi chhat gaye hain
Jab bhi tarp ke hum ne Sarkar ko pukara
Thukra de jis ko duniya us ko gale lagana
Yeh kaam hai tumhara ya Mustafa! tumhara