Kya theek ho rukh-e-nabvi par misal-e-gul
Pamal-e-jalwa-e-kaf-e-pa hai jamal-e-gul
Jannat hai un ke jalwa se joyaye rang-o-bu
Ae gul hamare gul se hai gul ko sawal-e-gul
Un ke qadam se sil'a-e-ghaliya hui jinan
Wallah mere gul se hai jah-o-jalal-e-gul
Sunta hoon ishq-e-shah mein dil hoga khoon fishan
Yarab yeh muzda sach ho mubarak ho faal-e-gul
Bulbul-e-haram ko chih gham-e-fani se faida
Kab tak kahe haye woh ghuncha-o-dalal-e-gul
Ghamgeen hai shauq-e-ghaza-e-khaak-e-Madina mein
Shabnam se dhul sakegi na gard-e-malaal-e-gul
Bulbul yeh kya kahan main kahan fazl-e-gul kahan
Umeed rakh ke aam hai jood-o-nawaal-e-gul
Bulbul! ghira hai abr-o-la murshida ho ke ab
Girti hai aashiyana pe barq-e-jamaal-e-gul
Yarab hara bhara rahe daagh-e-jigar ka baagh
Har mah-e-maah bahaar ho har saal-e-saal-e-gul
Rang-e-mizhgan se kar ke khajil yaad-e-shah mein
Khencha hai hum ne kaanton pe itar-e-jamaal-e-gul
Main yaad-e-shah mein rowoon karein anadil hajoom
Har ashk-e-lala-faam pe ho ehtimal-e-gul
Hain aks-e-chehra se lab-e-gulgoon mein surkhiyan
Dooba hai badr-e-gul se shafaq mein hilal-e-gul
Naat-e-Huzoor mein mutarannum hai Andalib
Shakhon ke jhoomne se ayan wajd-o-haal-e-gul
Bulbul gul-e-Madina hamesha bahaar hai
Do din ki hai bahaar fana hai maal-e-gul
Shaikhain idhar nisaar, Ghani-o-Ali udhar
Ghuncha hai bulbulon ka yameen-o-shumal-e-gul
Chahe Khuda to payein ge ishq-e-Nabi mein khuld
Nikli hai nama-e-dil-e-purkhoon mein faal-e-gul
Kar us ki yaad jis se mile chain Andalib
Dekha nahin ke khaar-e-alam hai khayal-e-gul
Dekha tha khwab khaar-e-haram Andalib ne
Khatka kiya hai aankh mein shab bhar khayal-e-gul
Un do ka sadqa jin ko kaha mere phool hain
Kijiye Raza ko hashar mein khandan misal-e-gul