Kyunkar na ho Makkay se siwa shaan-e-Madina
Woh jabke hua maskan-e-Sultan-e-Madina
Makkay ko sharaf hai to Madine ke sabab se
Is waste Makka bhi hai qurban-e-Madina
Hota hai falak ka sar-e-tasleem yahan kham
Allah re bulandi teri aiwan-e-Madina
Aate hain sar-e-ajz jhukaye huye lakhon
Shahan-e-jahan pesh-e-gadayan-e-Madina
Bulbul kabhi bhule se na le naam-e-chaman ka
Dekha hi nahin usne gulistan-e-Madina
Lakhon ne lagaye hain tere koochay mein bistar
Thodi si jagah hum ko bhi ae jaan-e-Madina
Pahunchade tu Mehboob ke dar par mujhe ya Rab
Le jaun na duniya se arman-e-Madina