Maah-e-taabaan tu hua mehar-e-ajam maah-e-arab
Hain sitaray anbiya mehar-e-ajam maah-e-arab
Hain sifaat-e-haq kay noori aeenay saaray nabi
Zaat-e-haq ka aeenah mehar-e-ajam maah-e-arab
Kab sitara koi chamka saamnay khursheed kay
Ho nabi kaisay naya mehar-e-ajam maah-e-arab
Aap hi kay noor say taabindah hain shams-o-qamar
Dil chamak jaye mera mehar-e-ajam maah-e-arab
Qabr ka har zarrah ik khursheed-e-taabaan ho abhi
Rukh say purdah do hata mehar-e-ajam maah-e-arab
Kocha-e-purnoor ka har zarrah rashk-e-mehar hai
Waah kya kehna tera mehar-e-ajam maah-e-arab
Roosiyah hoon munh ujaala kar mera jaan-e-qamar
Subah kar ya chandna mehar-e-ajam maah-e-arab
Nayyar-e-charkh-e-risalat jis ghari taali hua
Awj par tha ghulghala mehar-e-ajam maah-e-arab
Aap nay jab mashriq-e-anwaar say farmaya tulu
Daman-e-shab phat gaya mehar-e-ajam maah-e-arab
Zulmat-e-shab mit gayi jab aap jalwa gar huay
Raat thi pur din hua mehar-e-ajam maah-e-arab
Tum nay maghrib say nikal kar ik qayamat ki bapa
Kaafiron par sarwara mehar-e-ajam maah-e-arab
Aaftab-e-haashmi tu gharoob say taali ho phir
Kar suwaia noor ka mehar-e-ajam maah-e-arab
Haq kay pyaray noor ki aankhon kay taaray ho tumhain
Noor-e-chashm-e-anbiya mehar-e-ajam maah-e-arab
Zulf-e-wala ki sifat wallail hai quran main
Aur rukh ki wazduha mehar-e-ajam maah-e-arab
Zulmatein sab mit gayin naari say noori ho gaya
Jis kay dil main bas gaya mehar-e-ajam maah-e-arab
Zulmaton par zulmatein hain meray maula qabr main
Ab tu apna munh dikha mehar-e-ajam maah-e-arab
Mehar farma mehar say isyaan ki zulmat mehv kar
Jalwa farma ho zara mehar-e-ajam maah-e-arab
Noor say maamoor ho jaye mera seena agar
Dil pay rakh day apna paa mehar-e-ajam maah-e-arab
Ik isharay say qamar kay tum nay do tukray kiay
Marhaba sad marhaba mehar-e-ajam maah-e-arab
Noor ki sarkar hai tu bheek bhi noori milay
Qalb-e-noori jagmaga mehar-e-ajam maah-e-arab
Hai tum se aalam pur-ziya maah-e-ajam meher-e-arab
De do mere dil ko jala maah-e-ajam meher-e-arab
Donon jahan mein aap hi ke noor ki hai roshni
Duniya o uqba mein shaha maah-e-ajam meher-e-arab
Kab hote ye shaam o sahar kab hote ye shams o qamar
Jalwa na hota gar tera maah-e-ajam meher-e-arab
Shaam o sahar ke qalb mein shams o qamar ki aankh mein
Jalwa hai jalwa aap ka maah-e-ajam meher-e-arab
Hai roo-siyah mujh ko kya aaqa mere aamal ne
Kardo ujala munh mera maah-e-ajam meher-e-arab
Khursheed-e-taban bheek ko aaya teri sarkar se
Hai noor se kasa bhara maah-e-ajam meher-e-arab
Khursheed ke sar aap ke dar ki gadai se raha
Sehra shaha anwaar ka maah-e-ajam meher-e-arab
Kasa-lesi se tere darbar ki mahtab bhi
Kaisa munawwar ho gaya maah-e-ajam meher-e-arab
Hain ye zameen o aasman mangta isi sarkar ke
Hain un ki aankhon ki ziya maah-e-ajam meher-e-arab
Yun bheek leta hai do waqta aasman anwaar ki
Subh o masa hai jubba-sa maah-e-ajam meher-e-arab
Is jubba-sai ke sabab shab ko isi sarkar ne
Inaam mein teeka diya maah-e-ajam meher-e-arab
Aur subh ko sarkar se us ko mila noori sila
Umda sa jhoomar pur-ziya maah-e-ajam meher-e-arab
Jab tum na the kuch bhi na tha jab tum hue sab kuch hua
Hai sab mein jalwa aap ka maah-e-ajam meher-e-arab
Ik zulmat-e-isyan shaha is par andhera qabr ka
Karde ziya badr-ud-duja maah-e-ajam meher-e-arab
Bar to shawad az noor-e-rab baran-e-noori roz o shab
Ho ta-abad ye silsila maah-e-ajam meher-e-arab
Ho murshidon par noor-e-jaan barish tumhare noor ki
Aur un se paye ye gada maah-e-ajam meher-e-arab
Be-shak hai aasi ke liye nari sila lekin shaha
Noori ko do noori jaza maah-e-ajam meher-e-arab