Madina Madina hamara Madina hamein jaan o dil se hai pyara Madina
Suhana suhana dil aara Madina diwanon ki aankhon ka tara Madina
Yeh har aashiq-e-Mustafa keh raha hai hamein to hai jannat se pyara Madina
Yeh rangeen fazayen yeh mehki hawayen mu'attar mu'anbar hai sara Madina
Madine ke jalwon ke qurbaan jaaun Khuda ne hai kaisa sanwara Madina
Pahadon mein bhi husn kaante bhi dilkash baharon ne kaisa nikhara Madina
Wahan pyara Ka'aba yahan sabz gumbad woh Makka bhi meetha to pyara Madina
Bula lijiye apne qadmon mein Aqa dikha dijiye ab to pyara Madina
Phirun gard-e-Ka'aba piyun aab-e-zamzam mein phir aake dekhun tumhara Madina
Tali mushkilain ho gayin aafatain door gaya jab koi gham ka mara Madina
Hai Shah o gada muflis o aghniya ka bila raib sab ka guzara Madina
Yeh diwane Aqa! Madine ko aayen bulalo unhein ab khudara Madina
Khuda gar qayamat mein farmaye mango pukarenge diwane pyara Madina
Madine mein Aqa! Hamein maut aaye bane kaash! Madfan hamara Madina
Ise sair-e-gulshan se kya sarokar kiya jis ne tera nazara Madina
Ziya peer-o-murshid ke sadqe mein Aqa Attar aaye dobara Madina