Madine Hamein Le Gaya Tha Muqaddar Madine Mein Kaisa Suroor Aa Raha Tha
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Madine hamein le gaya tha muqaddar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Na hum kaash! aate yahan laut kar ghar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Wahan barish-e-noor hoti thi paiham na duniya ki jhanjhat zamane ka tha gham
Mila tha hamein qurb-e-mehboob-e-dawar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Khushi bhi khushi se wahan jhoomti thi masarrat mere cho taraf ghoomti thi
Maza bhi maze le raha tha wahan par madine mein kaisa suroor aa raha tha
Kabhi roo-baru sabz gumbad ka manzar kabhi takte hum un ke deewar o dar
Kabhi samne hote mehrab o mimbar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Wahan rah chalte hum dast-e-basta durood un pe parhte kabhi sara rasta
Kabhi naat parhte the hum raste bhar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Kabhi baithte un ki masjid mein ja kar kabhi door se takte mehrab o mimbar
Namazon ka bhi lutf tha kya wahan par madine mein kaisa suroor aa raha tha
Fazaen munawwar hawaen moattar saman tha wahan kis qadar kaif aawar
Jahan mein kahin bhi nahin aisa manzar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Madine ka sehra bhi rashk-e-gulistan tasadaq mughilan pe baad-e-baharan
Tani thi paharon pe noorani chadar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Kabhi mast ho kar shajar jhoomte the to jhar jhar ke patte zameen choomte the
Utha lete in ko bhi hum barh barh kar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Wahan to andhere mein bhi roshni hai yahan par ujale mein bhi teergi hai
Wahan din the roshan to shab bhi munawwar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Khusha! dhoop thi thandi thandi wahan par thi kya chhaon bhi mehki mehki wahan par
Wahan zarra zarra hai sad rashk-e-gohar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Yaqeenan madina hai sad rashk-e-jannat madine mein baithe hai aqa ki turbat
Ae attar kyon chor kar aaye woh dar madine mein kaisa suroor aa raha tha
Dil pe gham chha gaya, ya Rasool-e-Khuda
Kya banega mera, ya Rasool-e-Khuda
Zor-e-toofan hai, phans gayi jaan hai
Al-madad nakhuda, ya Rasool-e-Khuda
Aah! na-kamiyan, haaye barbadiyan
Hoga ab mera kya, ya Rasool-e-Khuda
Chha gayin tareekiyan, uff! yeh andhiyariyan
Keejiye chandna, ya Rasool-e-Khuda
Nao manjhdaar mein, dooba sarkar mein
Aah! ae nakhuda, ya Rasool-e-Khuda
Phans gaya, phans gaya, phans gaya
Tum nikalo shaha, ya Rasool-e-Khuda
Qalb-e-ghirbal hai, haal be-haal hai
Tere beemar ka, ya Rasool-e-Khuda
Qalb-e-naashad hai, chain barbaad hai
Ho karam Sayyida, ya Rasool-e-Khuda
Deed-o-dil ko qaraar, ae shah-e-zee-waqar
Sadqa-e-Siddiq ka, ya Rasool-e-Khuda
Bigri qismat sanwaar, ae mere tajdaar
Sadqa-e-Farooq ka, ya Rasool-e-Khuda
Door aafaat hoon, theek haalaat hoon
Sadqa-e-Usman ka, ya Rasool-e-Khuda
Ham sabhi ek hoon, ek hoon nek hoon
Az-pay-e-Murtaza, ya Rasool-e-Khuda
Aise barbaad hoon, phir na aabaad hoon
Dushmanan-e-Khuda, ya Rasool-e-Khuda
Jis qadar haasideen, hain mere shah-e-deen
Sab ka dil ho safa, ya Rasool-e-Khuda
Ho nigah-e-karam, tajdar-e-haram
Wasta Ghaus ka, ya Rasool-e-Khuda
Main sarapa khata, hoon bada roo-siyah
Hashr mein hoga kya, ya Rasool-e-Khuda
Ya shafee-e-umam, tum hi rakhna bharam
Roz-e-mehshar mera, ya Rasool-e-Khuda
Sarwar-e-kainat, apni jannat mein saath
Le ke chalna shaha, ya Rasool-e-Khuda
Shah-e-dunya-o-deen, kaam karta nahin
Zehan-e-Attar ka, ya Rasool-e-Khuda
Ho karam ya Nabi, paar beda abhi
Hoga Attar ka, ya Rasool-e-Khuda