Mahboob-e-Rab-e-Akbar tashreef la rahe hain
Aaj ambiya ke Sarwar tashreef la rahe hain
Kyun hai fiza muattar! kyun roshni hai ghar ghar
Acha! Habeeb-e-Dawar tashreef la rahe hain
Eidon ki eid aayi rahmat Khuda ki layi
Jood-o-sakha ke paikar tashreef la rahe hain
Hoorain lagi hain gungunane naaton ke tarane
Hoor-o-malak ke afsar tashreef la rahe hain
Aalam mein hain jo yakta, be-misal hain jo Aaqa
Woh Aamina ke tare ghar tashreef la rahe hain
Ae farshiyo mubarak! Ae arshiyo mubarak!
Donon jahan ke Sarwar tashreef la rahe hain
Ae be-kaso mubarak! Ae be-baso mubarak!
Ab ghamzadon ke yawwar tashreef la rahe hain
Jhoomoo ae bad-naseebo! ho jaao khush gareebo!
Dekho Ghareeb Parwar tashreef la rahe hain
Kaisa hai pyara manzar rangeen-o-rooh parwar
Har ek se haseen tar tashreef la rahe hain
Rahmat baras rahi hai har sumt roshni hai
Dekho mah-e-munawwar tashreef la rahe hain
Ae be-nawaao aaao, aaao gadaao aaao
Woh Aamina ke ghar par tashreef la rahe hain
Teri Halima dayi taqdeer muskurayi
Mahboob-e-Haq baray ghar tashreef la rahe hain
Ummat ke naaz uthane ummat ko bakhshwane
Allah ke paighambar tashreef la rahe hain
Aaj azpaye wiladat jee haan milegi jannat
Mukhtar-e-khuld-o-kausar tashreef la rahe hain
Khud chal ke manzil aaye aakar gale lagaye
Bhatke huon ke rahbar tashreef la rahe hain
Waqt-e-wiladat aaya hai shor marhaba ka
Donon jahan ke sarwar tashreef la rahe hain
Shatan ki aayi shamat kyun door ho na zulmat
Haan haan Arab ke khawar tashreef la rahe hain
Kasra ka qasr-e-haq hai shaitan ka rang fiq hai
Dekho! Rasool-e-anwar tashreef la rahe hain
Ta'zeem ke liye ab ae momino utho sab
Aaram-e-jan-e-muztar tashreef la rahe hain
Apna ghulam kehne is ujre dil mein rehne
Kab ae ghareeb parwar tashreef la rahe hain
Uff! Haye ghupp andhera chamkane gor-e-teera
Kab ae mah-e-munawwar tashreef la rahe hain
Ae tishnagan-e-mahshar dekho karam ke paikar
Kausar ka le ke saghar tashreef la rahe hain
Badkaro! Rakho himmat farmayenge shafa'at
Dekho shafee-e-mahshar tashreef la rahe hain
Attar ab khushi se phoola nahin samata
Duniya mein is ke sarwar tashreef la rahe hain