Main ban jaunga deewana main ho jaunga mastana
Ata ho ishq ka ik zarra ya Rasool Allah
Tumhari yaad mein roya karoon tarpa karoon kar do
Inayat apne gham ka zakhm gehra ya Rasool Allah
Rulaye tera gham duniya ke gham mein mere aansoo ka
Na ho barbad Aqa koi qatra ya Rasool Allah
Bula lo Gumbad-e-Khizra ki thandi chhaon mein
Madine ka dikha do mujh ko sehra ya Rasool Allah
Sa'adat Karbala ki haazri ki bhi inayat ho
Dikha deeje mujhe Baghdad-o-Basra ya Rasool Allah
Nikalne wali hai ab rooh-e-muztar jism se jaana
Karam! Imaan ko hai shaitan se khatra ya Rasool Allah
Hoyi jaati hai haye umr zaye ho rahi hai
Nahin aayega hargiz waqt guzra ya Rasool Allah
Karam! Attar bad-atwar ke gulzar par Aqa
Lagaya hai khizan ne sakht pehra ya Rasool Allah