Main Makkah mein phir aa gaya ya Ilahi karam ka teray shukriya ya Ilahi
Na kar rad koi iltija ya Ilahi ho maqbool har ek dua ya Ilahi
Rahay zikr aathon pehar meray lab par tera ya Ilahi tera ya Ilahi
Meri zindagi bas teri bandagi mein hi ae kash guzray sada ya Ilahi
Na hoon ashk barbad dunya ke gham mein Muhammad (SAW) ke gham mein rula ya Ilahi
Ata kar de ikhlaas ki mujhay nemat na nazdeek aaye riya ya Ilahi
Mujhay auliya ki mohabbat ata kar tu deewana kar Ghaus ka ya Ilahi
Main yaad-e-Nabi mein rahoon gum hamesha mujhay un ke gham mein ghula ya Ilahi
Meray baal bachon pe saray qabilay pe rehmat ho teri sada ya Ilahi
De Attar yun balkay sab sunniyon ko Madinay ka gham ya Khuda ya Ilahi
Khudaya ajal aa ke sar par khari hai dikha jalwa-e-Mustafa ya Ilahi
Meri laash se saanp bichoo na liptein karam az tufail-e-Raza ya Ilahi
Tu Attar ko sabz gumbad ke saye mein kar de shahadat ata ya Ilahi