Main Sarapa Hoon Gham, Tajdar-e-Haram
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Main sarapa hoon gham, Tajdar-e-Haram
Kijye reham-o-karam, Tajdar-e-Haram
Ujra ujra samaan, chha gayi hai khizaan
Barse abr-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aaye sheh-e-bahr-o-bar, aah! Kamzor par
Toota koh-e-alam, Tajdar-e-Haram
Sadqa Hasnain ka, mujh se be-chain ka
Door ho ranj-o-gham, Tajdar-e-Haram
Bigri qismat sanwar, jaye gi ho nazar
Suye loh-o-qalam, Tajdar-e-Haram
Ab bula lo wahin, door reh kar kahin
Toot jaye na dam, Tajdar-e-Haram
Shah-e-jinn-o-bashar, khair se mere ghar
Tere aaein qadam, Tajdar-e-Haram
Door hon aafatein, dijye rahatien
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Az paye chaar yaar, ab to bera ho paar
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aaye mere chara-gar, apne bimar par
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Do naqab ulat, aaein jalwe simat
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Mujh ko deed-e-baqi, ab to deed-e-baqi
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aap hazir bhi hain, aap nazir bhi hain
Han Khuda ki qasam, Tajdar-e-Haram
Sarwar-e-do jahan, aap hain ghaib daan
Kibriya ki qasam, Tajdar-e-Haram
Apne Attar ko, maal-o-daulat na do
Dekh bas apna gham, Tajdar-e-Haram