Sun lo meri iltija Achhay Miyan
Main tasadduq mein fida Achhay Miyan
Ab kami kya hai Khuda de banda le
Main gada tum badshah Achhay Miyan
Deen o duniya mein bohat acha raha
Jo tumhara ho gaya Achhay Miyan
Is buray ko aap acha kijiye
Aap achhay mein bura Achhay Miyan
Aise achhay ka bura hoon main bura
Jin ko achhon ne kaha Achhay Miyan
Main hawalay kar chuka hoon aap ke
Apna sab acha bura Achhay Miyan
Aap jaanein mujh ko us ki fikr kya
Main bura hoon ya bhala Achhay Miyan
Mujh buray ke kaise achhay hain naseeb
Main bura hoon aap ka Achhay Miyan
Apne mangta ko bula kar bheek di
Ae mein qurban ata Achhay Miyan
Mushkilein aasan farma dijiye
Ae mere mushkil kusha Achhay Miyan
Meri jholi bhar do dast-e-faiz se
Hazir-e-dar hai gada Achhay Miyan
Dam-e-qadam ki khair mangta hoon tera
Dam-e-qadam ki khair la Achhay Miyan
Jaan-balab hoon dar-e-isyaan se huzoor
Jaan-balab ko do shifa Achhay Miyan
Dushmanon ki hai charhai al-ghiyas
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Nafs-e-sarkash dar-e-paye-e-azar hai
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Shaam hai nazdeek sehra holnaak
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Naz'a ki takleef aghwa-e-adu
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Woh sawal-e-qabr woh shaklein muheeb
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Pursish-e-aamal aur mujh sa aseem
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Baar-e-isyaan sar pe ra'sha paon mein
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Khali haath aaya bhare bazaar mein
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Mujrim-e-nakara o deewan-e-azl
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Poochhte hain kya kaha tha kya kya
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Pa-shikasta aur uboor-e-pul-e-sirat
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Khaain o khati se lete hain hisab
Hai madad ka waqt ya Achhay Miyan
Bhool jaaun na mein seedhi raah ko
Mere achhe rahnuma achhe miyan
Tum mujhe apna bana lo bahre Ghous
Mein tumhara ho chuka achhe miyan
Kaun de mujh ko muradein aap dein
Mein hoon kis ka aap ka achhe miyan
Yeh ghataein gham ki yeh roze siyah
Mehre farma mahe liqa achhe miyan
Ahmed-e-Noori ka sadqa har jagah
Munh ujala ho mera achhe miyan
Aankh neechi dono aalam mein na ho
Bol bala ho mera achhe miyan
Mere bhai jin ko kehte hain Raza
Jo hain us dar ke gada achhe miyan
Un ki munh mangi muradein hon husool
Aap farmayein ata achhe miyan
Umr bhar mein un ke saya mein rahoon
Un pe saya aap ka achhe miyan
Mujh ko mere bhaiyon ko hashre tak
Ho na gham ka samna achhe miyan
Mujh pe mere bhaiyon par har ghadi
Ho karam sarkar ka achhe miyan
Mujh se mere bhaiyon se door ho
Dukhe marz har qism ka achhe miyan
Meri mere bhaiyon ki hajatein
Fazl se kije rawa achhe miyan
Ham ghulamon ke jo hain lakhte jigar
Khush rahein sab da'ima achhe miyan
Panjtan ka saya panchon par rahe
Aur ho fazle khuda achhe miyan
Sab azizon sab qareebon par rahe
Saya fazl-o-ata achhe miyan
Ghouse Azam qutbe aalam ke liye
Rad na ho meri dua achhe miyan
Ho husne sarkar wala ka husn
Kijiye aisi ata achhe miyan