Marhaba aaj chalein ge Shah-e-Abrar ke paas
(Alhamdulillah azzawajal 1422H ta 1423H ke safar-e-Madina mein Harmain Tayyibain mein ye kalam qalam-band kiya)
Marhaba aaj chalein ge Shah-e-Abrar ke paas
InshaAllah pahunch jayein ge Sarkar ke paas
Pesh karne ke liye kuch nahin badkar ke paas
Dheron isyan hain gunahgaron ke sardar ke paas
Mil chuka izn-e-mubarak ho Madine ka safar
Qafle walo chalo chalte hain Sarkar ke paas
Khoob ro ro ke wahan gham ka fasana kehna
Ghamzada aao chalo Ahmad-e-Mukhtar ke paas
Main gunahgar gunahon ke siwa kya lata
Nekiyan hoti hain Sarkar-e-nakokar ke paas
Sar bhi kham aankh bhi nam, sharm se pani pani
Kya kare nazr nahin kuch bhi gunahgar ke paas
Aankh jab Gunbad-e-Khazra ka nazara kar le
Dam nikal jaye mera aap ki diwar ke paas
Arsa-e-Hashr mein jab rota bilakta dekha
Reham khate hue dor aaye woh badkar ke paas
Mujrimo! itna bhi ghabrao na mahshar mein tum
Mil ke chalte hain sabhi apne madadgar ke paas
Donon aalam ki bhalai ka sawali ban kar
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Shah wala ye Madine ka bane deewana
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Apna gham chashm-e-nam aur riqqat-e-qalbi dije
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Ulfat-e-naab le mile aur dil-e-betab mile
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Husn-e-akhlaq mile bhek mein ikhlas mile
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Az paye Ghous-o-Raza qufl-e-Madina mil jaye
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Istaqamat ise iman pe ata kar dije
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Hai Madine mein shahadat ka ye mangta Maula
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Qabr-o-mahshar mein aman ka hai talabgar Huzoor!
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Naar-e-dozakh se rihai ka mile parwana
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Is ko jannat mein jawar apna ata ho Data
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Aap se aap hi ka hai ye sawali Aqa
Ek bhikari hai khara aap ke darbar ke paas
Qabr mein yun hi Nakiro! nahin aaya Wallah
Hai ghulami ki sanad dekh lo Attar ke paas