Marhaba! Muqaddar phir aaj muskuraya hai
Phir mujhe Madine mein Shah ne bulaya hai
Khoob Masjid-e-Nabvi ka haseen hai manzar
Sabz sabz gumbad par kaisa noor chhaya hai
Meri gandi aankhon ko un najis nigahon ko
Shukriya Madine ka bagh phir dikhaya hai
Mujh sa paapi aur badkar aur Aap ka darbar!
Bil-yaqeen mujh par bhi rehmaton ka saya hai
Ya Nabi! Shifa de do az-paye Raza de do
Khoob zor, isyan ke rog ne dikhaya hai
Jis ko sab ne thukraya aur dil ko tadpaya
Sadqe jaaun us ko bhi Aap ne nibhaya hai
Nafraton ke daldal mein dushmanon ke changal mein
Jab kabhi phansa hoon mein Aap ne bachaya hai
Aadatein gunahon ki haye! kam nahin hotin
Aah! Nafs-o-shaitan ne zor se dabaya hai
Vari jaaun mein tum par abhi jao ab Sarwar!
Koi dam ka hoon mehman dam labon par aaya hai
Haq ne kar diya maalik tum ko sab khazanon ka
Tum ne hi khilaya hai tum ne hi pilaya hai
Kyun fida na ho Attar Aap par Shah-e-Abrar
Is ko apne daaman mein Aap ne chupaya hai
Aap ke karam se yeh dhoom hai qayamat mein
Dekho dekho Attar ab kitna khush khush aaya hai