Khalq pe lutf-e-Khuda Hazrat-e-Usman hain
Jumla marz ki dawa dard ke darmaan hain
Dast-e-Shah jo ke Yadullah tha
Hath bana aap ka aap woh zi-shan hain
Noor-e-dil o ain hain sahib-e-noorain hain
Sab ke dil ke chain hain mominon ki jaan hain
Gulshan-e-deen ki bahaar mominon ke tajdaar
Izzat-e-har zi-waqar zeenat-e-imaan hain
Aap mamdooh-e-jahan khalq-e-Khuda madah khwan
Kya hai agar badguman chand be-imaan hain
Haq ne woh rutba diya tum Ghani hum sab gada
Kya kahoon mein tum ho kya aql o dil hairan hain
Jo hain Imam-e-Anaam jis ke hain hum sab ghulam
Marja-e-har khaas o aam Hazrat-e-Usman hain