Behtari jis pe karay fakhr woh behtar Siddiq
Sarwari jis pe karay naaz woh sarwar Siddiq
Chamanistan-e-Nubuwwat ki bahaar-e-awwal
Gulshan-e-deen ke banay pehlay gul-e-tar Siddiq
Be-guman sham-e-Nubuwwat ke hain aaina chaar
Yani Usman-o-Umar Haider-o-Akbar Siddiq
Saaray ashab-e-Nabi taaray hain ummat ke liye
In sitaron mein banay mehr-e-munawwar Siddiq
Sani-e-ithnain hain Abu Bakr Khuda gawah
Haq muqaddam karay phir kyon mu'akhar Siddiq
Zeest mein maut mein aur qabr mein sani hi rahay
Sani-e-ithnain kay is tarah hain mazhar Siddiq
Wa lillazeena ma'ahu kay hain yeh fard-e-kamil
Hashr tak pay-e-Nabi par dharay sar Siddiq
Un kay maddah Nabi un ka sana-go Allah
Haq Abul Fazl kahay aur payambar Siddiq