Bahaar-e-bagh-e-imaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Chiragh-e-bazm-e-irfan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Numayan aap ki har ek ada se shan-e-Faroqi
Khuda ki tegh-e-burran Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Ashiddaau alal kuffari ke misdaq-e-aala hain
Mudhillu kufr-o-tughyan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Rasool-e-Allah ne Farooq ko Allah se maanga
ataa-e-Rabb-e-Subhan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Phansa us pak ne deen ke liye us pak thare ko
Habib-e-deen-e-daraan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Habib-e-Haq hain tayyab unke sab saathi bhi tahir hain
Chunidah bahr-e-pakaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Na kyon woh zaat chamke jisne deen pak chamkaya
Jahan ke mehar-e-taban Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Umar hain deen ke Haq Ta'ala unka nasir hai
Dil-e-momin ke taban Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Rahega naam unka ta abad kaunain mein roshan
Sepehar-e-deen pe rakhshan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Umar kafi Nabi ko Hasbukallah se yeh sabit hai
Hai shahid jin pe Quran Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Woh alam dabdaba ka kanpte hain Qaisar-o-Kisra
Hai jin se deen ki shan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Khazanay Room-o-Fars ke lutatay hain Madina mein
Fuyooz-e-Haq ke baran Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Magar us hal mein dho dho kar ik kurta pehantay hain
Hai taqwa jin pe nazaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Musalman raat bhar soyein Umar Farooq pehra dein
Ri'aya ke nigahbaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Pukara Sariya ko ik mahina ki musafat se
Jisay har ja ho yaksaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain
Hain daamad-e-Ali o nazneen-e-Hazrat-e-Zehra
Hai Salik jin pe nazaan Hazrat-e-Farooq-e-Azam hain