Meray Mushtaq ko koi dawa do ya RasoolAllah
(Dawat-e-Islami ki Markazi Majlis-e-Shoora ke marhoom nigran Haji Mushtaq Attari alaihirahmatulbari ki sakht
alaalat ke ayyam mein bargah-e-risalat Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam mein ye istaghasa pesh kiya gaya)
Meray Mushtaq ko koi dawa do ya RasoolAllah
Dawa kar shifa-e-kaamila dua do ya RasoolAllah
Tabibon ne mareez-e-laadawa keh keh ke taala hai
Bana naakaam un ka andiya do ya RasoolAllah
Mara Mushtaq Maula kab tadpe ga bechara
Dua bhi do dawa bhi do shifa do ya RasoolAllah
Meray Mushtaq ke ujde chaman mein phir bahaar aaye
Kali pur-murdah dil ki tum khila do ya RasoolAllah
Meray Mushtaq-e-ranjeeda pe ho chashm-e-karam Aaqa
Bechare gham ke maare ko hansa do ya RasoolAllah
Karam se ab sar-e-baaleen shaha tashreef le aao
Use deedar ka sharbat pila do ya Rasool Allah
Shifa pa kar ye na'matein parh ke phir tarapne lag jaaye
Lu'ab-e-apna use aakar pila do ya Rasool Allah
Shaha Mushtaq kab tak dar-ba-dar ki thokrein khaaye
Kahan jaaye bechara tum bata do ya Rasool Allah
Karam kar do taras khao dukhi dil ki sada sun lo
Bila Mushtaq se har ek hata do ya Rasool Allah
Suno ya mat suno ye rat lagaye jayenge hum to
Shifa do yaar-e-Rasool Allah shifa do ya Rasool Allah
Faqat amraz-e-jismani ki hi karta nahin faryad
Gunahon ke marz se bhi shifa do ya Rasool Allah
Ye phir neki ki dawat ke liye dore jahan bhar mein
Mere Mushtaq ko aisa bana do ya Rasool Allah
Shaha Mushtaq ko hajj ki sa'adat phir ata kar do
Bula kar sabz gumbad bhi dikha do ya Rasool Allah