Mere paas bakhshish ki mohri sanad hai
Yeh kehta hai khat-e-Shafi’a tumhara
Phirain kis liye tishna kamaan-e-mahshar
Hai labrez rehmat ka darya tumhara
Bohat khush hain ushaq jab se suna hai
Qayamat mein hoga nazara tumhara
Nahi hai agar zuhd-o-taat to kya gham
Waseela to laya hoon Maula tumhara
Ho tum hakim-o-fateh-e-bab-e-rehmat
Ke hai wasf-e-Inna Fatahna tumhara
Amal poochte jate hain Sarkar aao
Kahin dar na jaye nikamma tumhara
Jo anbar-e-asiyan hain sar par to kya gham
Baha de ga ek dam mein abla tumhara
Daray aftab-e-qayamat se kyun kar
Jo banda hua mere Aaqa tumhara