Mohabbat mein apni guma ya Ilahi na paoon mein apna pata ya Ilahi
Rahoon mast o bekhud mein teri wila mein pila jaam aisa pila ya Ilahi
Main bekar baaton se nich ke hamesha karoon teri hamd o sana ya Ilahi
Meray ashk behtay rahein kash har dam teray khauf se ya Khuda ya Ilahi
Teray khauf se teray dar se hamesha mein tharthar rahoon kanpta ya Ilahi
Meray dil se dunya ki chahat mita kar kar ulfat mein apni fana ya Ilahi
Tu apni wilayat ki khairat de day meray Ghaus ka wasta ya Ilahi
Gunahon ne meri kamar tor daali mera hashr mein hoga kya ya Ilahi
Gunahon ke amraz se neem jaan hoon paye murshadi de shifa ya Ilahi
Banaday mujhay nek neekon ka sadqa gunahon se har dam bacha ya Ilahi
Mara har amal bas teray wastay ho kar ikhlaas aisa ata ya Ilahi
Ibadat mein guzray meri zindagani karam ho karam ya Khuda ya Ilahi
Musalman hai Attar teri ata se ho imaan par khatma ya Ilahi